Skip to content

Khata se pehle || love Hindi poetry

Maar hi daal mujhe chasm
A ada se pahle apni manzil
Ko pahunch jau kaza se
Pahle….!!

Ek nazar dekh lu aa jao
Kaza se pahle tumse milne
Ki tamanna hai khuda se
Pahle….!!

Hashr ke din mein puchunga
Khuda se pahle tumne roka
Nahi kyu mujhe khata se
Pahle….!!

A meri mout thahar unko
aane De zara zahar ke jaam
na De mujhko dawa se pahle.

Haath pahunche bhi na the
Zulf tak yaaro hathkadi
Daal di zalim ne khata se
Pahle…….!!


Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


jaan to meree hai. || Love Hindi Status

un se kah do apanee khaas hiphaazat kiya kare,
beshak saanse unakee hai… par jaan to meree hai.…

उन से कह दो अपनी ख़ास हिफाज़त किया करे,
बेशक साँसे उनकी है… पर जान तो मेरी है.…

Title: jaan to meree hai. || Love Hindi Status


Nishaniyan teri || hindi shayari || two line shayari

Vo tere khat teri tasveer aur sukhe phool,
Bhut udaas karti hain mujhko nishaniyan teri😑

वो तेरे खत तेरी तस्वीर और सूखे फूल,
बहुत उदास करती हैं मुझको निशानियाँ तेरी।😑

Title: Nishaniyan teri || hindi shayari || two line shayari