shabad the zubaan tak dil tha bhara bhara
mann m yun takraar thi shbad the khafa khafa….
kisi k shabad yun lage k dil m shor ho gya
phir ek aur saans li aur dil p zor kar dia…
khud se mene baat ki phir mann ko theek kar dia
ek aur shabad ne sab phir se nasht kar dia
shabdo ki takraar m khud ko mene kho dia
jo dusre ne keh diya haske phir se man lia
kyun bolne se pehle shabad khud ko tolte nahi
na jane kitno k dil ko yun hi todte nhi
shabad ek khel hai jo dilo ka ek mel hai
soch aur samajh k bola shabad ek prem hai
kyun shabd aur dil ki daud m shabd jeet jaate hai
pr kya karen ye shabad apna faraz hi nibhate hai
pyaar k do shabad meethe tu bhi phir se bol de
kya pta jo tute rishte phir se tu yun jod le
ye shabdo ka janjaal hai jo na kehna kya kamaal hai
jo teer is se lag gya wo phir se lautta nahi
aaj hi se shabdo ka chunaav pyar se karo
yun hi rishte dur ho iska vichar phir karo
samajh gye abhi se jo to zindagi m gum nahi
sabhi fasaad ki hai jad jo shabad hi sahi nahi
shukriya sabhi ka haijo kimti samay diya
padh k meri shayari mujhe aur bal hai mila