Yaad aate hai bachpan ke wo din
Jab maa daantkar khana khilati thi
Kabhi gussa hokar mein bhukhi hi so jati thi
Subah hote hi maa deti thi maa banakr khana
Usme bhi maa ka pyar pane ke liye mera nakhre dikhana
Jab kabhi udaas huyi toh maa ko gale lagaya
Yaad ati hai maa jb aaj khudko akela paya
Jab lagti thi chot mujhe aansu unki aankh mein hote the
Jab bimar huyi wo, hum chup chupkar rote the
Nahi hoga unhe kuch ye yakin dilaya
Lekin bhagwan ka likha koi badal na paya
“Mujhe bacha lo” ye aakhiri the shabd unke
Kaash mein de paati apni saansein unhe
Toh aaj chubhte nahi ye shabd unke
Wo kahti thi ‘beta strong ban’, me kahti thi strong hu mein
Par kaise batau mein strong tab thi jab hath mere sir pe the unke
Nahi rok pati aansu apne jab yaad aati hai unki
Unke bina kamjor hai beti ye unki
Har ladki ka khawaab hoon…
Har Ek ke hothon ka unkaha Jawaab hoon…
Raheta tumhare Dilon mein hee hoon…
Mere bin pal bhar Bhi sakoon na Milega…
Ki tumhari raahon ka chiraag mai hee to hoon…