Skip to content

Aansu se khataaa || hindi sad shayari

Mere Aansuon se khataa ho gyi…

jo beh chle jaalim zamaane ke aage.

Hakikat se  pehle kyon aankhein namm ho gyi,

jo mere sapne bhi saare jal kar raakh ho gye …

kaash!  hume ye ehsaas  pehle hi ho jaata….

kimat nhi inn anmol motiyon ka yahaan ,

jo ab yu andhere se aankhein milaayi ,

chiraago se roshni bhi judaa ho gyi.

Hazaaron se bhi jyadaa gum humne chupaaye,

na jaane kaise ye daastan bayaan ho gyi.

-by SARITA CHAUHAN

Title: Aansu se khataaa || hindi sad shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Tero narazgi kubul hai || sad dard shayari

teri narazgi kubul hai

tere nakhre kubul hai

kubul hai hr shart teri

tera hr libas kubul hai

kya kubul nhi tumhe 

agr tum mujhse puchoge

kubul nhi teri aakho me aasu koi 

kubul nhi dil me doosra nam koi

kubul nhi tere siva mera koi mehboob ho

kubul nhi mere siva kisi me tu masroof ho

baki sb kuch kubul hai

dil tera kubul hai

jaan meri kubul hai

jeena tera kubul hai

marna mera kubul hai.

Title: Tero narazgi kubul hai || sad dard shayari


Saanu zindagi inni || 2 lines love romantic punjabi shayari

Sohneyaa sajjna je tere naal yaari naa hundi
taa sonh teri saanu zindagi aini pyaari na hundi

ਸੋਹਣੇਆ😍 ਸੱਜਣਾ ਜੇ ਤੇਰੇ ਨਾਲ ਯਾਰੀ ✌ਨਾ ਹੁੰਦੀ,
ਤਾ ਸੋਂਹ ਤੇਰੀ 😐ਸਾਨੂੰ ਜਿੰਦਗੀ ਐਣੀ ਪਿਆਰੀ 😍ਨਾ ਹੁੰਦੀ !!

Title: Saanu zindagi inni || 2 lines love romantic punjabi shayari