Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Zindagi tere naam likhi hai
Zindagi tere naam likhi hai!!
Zindagi tere naam likhi hai dil ke safar mein,
Har lamha tu saath ho, toh kya baat hai guzar mein.Muskurahat teri roshni hai andheron ke sheher mein,
Tere bina lagta hai kuchh adhura har nazar mein.Khwaab teri baahon ke, sach ban jaaye har shaam,
Bas itna hai armaan… zindagi ho tere naam…..~vaishnavi!!
Bure waqt ne hifazat ki hai || hindi shayari
Chand mein baithkar subah ka intzaar karta hu
Thoda kal sochkar aaj izhaar karta hu
Jab bhi meri nadaniyon ne galti karne ki izazat di hai
Tab mere bure waqt ne bhi meri hifazat ki hai..
चांद में बैठकर सुबह का इंतज़ार करता हूं,
थोड़ा कल सोचकर आज इजहार करता हूं…
जब भी मेरी नादानियो ने गलती करने की इजाज़त दी है,
तब मेरे बुरे वक्त ने भी हमेशा मेरी हिफाज़त की है…


