Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Kuch sacchi baatein || yaadein shayari hindi
Kapdo pe lagaa daag toh dhul jaata hai
Magar uski khushboo baaki reh jati hai
Jism ke ghaab toh bhar jaate hain
Lekin Dil ke chot nahi bharte hain
Rishtey khatam ho jaati hain
Magar unki nishani reh jaati hai
Log saath chhod dete hain
Lekin yaadein nahi mit ti hain
Title: Kuch sacchi baatein || yaadein shayari hindi
Sukun kaha hai ab || hindi shayari || zindagi shayari
Sukun kaha hai ab aisi aab-o-hawa mein
Chal rahi hai zindagi apni apni wafa mein
Tu wafadar bhi hai aur adakaar bhi e zindagi
Jaan chuka hu tere kirdaar, mein pehli hi dafa mein…💯🍂
सुकूं कहां है अब ऐसी आब-ओ-हवा में,
चल रही है जिंदगी अपनी, अपनी वफा में,
तू वफादार भी है और अदाकार भी ए-जिंदगी,
जान चुका हूं तेरे किरदार, मैं पहली ही दफा में…💯🍂
