Skip to content

Bhool gaye tum hume || hindi shayari best

Bhool gaye tum Hume jaise kabhi kuchh tha hi nahi..

Vo jo sawera tere saath tha , pure din Tera ehsaas tha raat me tere hi khwaab the , khwaabo me naya sa jahaan tha 

Kuchh baatein thi baaton me sapne the ..sapne me hum or hum me tum

Bhool gaye tum hume bach gaye mehez gam 

Bhool gaye tum Hume jaise kabhi kuchh tha hi nahi , vo jo hamara saath tha ek khubsurat sa ehsaas tha haathon me haath tha b

Khair chhodo bhool gaye tum Hume jaise kabhi kuchh tha hi nahi ……

Title: Bhool gaye tum hume || hindi shayari best

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Intezaar || hindi shayari || janamdin shayari

Shukriyaa khuda ka zameen pe utara aapko aaj ke din
Chalo ek aur dafa manaaye yeh haseen din aapke bin
Muntazir toh iss tarah rehta hai pagla jaise dil milenge iss din
Apna bhool jaunga par nahi bhool paunga aapka janamdin..

Jab tum deewar par apna sar rakhti ho
Toh bahot khoobsurat lagti ho..
Phir jab tum muskura deti ho
Toh usse bhi jyada khoobsurat lagti ho..

Kehdo ki jab main tumhe din mein
Pehli dafa dekhta hoon
Toh mugh par nazar nahi rakhti
Kehdo ki jab main tumhari ore
Kadam badhata hoon
Toh tumhari dhadkan nahi badhti
Kehdo ki jab main tumhare
Roobaroo baithta hoon
Toh mere rukh ko itmenaan se nahi dekhti
Kehdo ki mere jaane ke baad
Tumne ek baar bhi meri
Kami mehsoos nahi ki
Ek aakhri baar meri kasam khaao aur
Kehdo ki har hafte tum meri
Shayari ka intezaar nahi karti..

Title: Intezaar || hindi shayari || janamdin shayari


Mere paas kohinorr hai || Love Shayari in Hindi

उस चांद को बहुत गुरूर है,
कि उसके पास नूर है।
अब मैं उसे कैसे समझाऊं,
मेरे पास कोहिनूर है।

Title: Mere paas kohinorr hai || Love Shayari in Hindi