Skip to content

Bhula de meri manzil || hindi shayari

Bhulã de meri mañzil , le chal mujhe

Asmaãno  ke uñchaãiyon paṛ

Sagãr ke is safar me tu le chal mujhe reth̤ ke sehraoñ paṛ

Koshish̤ tab bhi jari tha Koshish̤ aaj bhi jari hai

Koshish̤oñ ke is alam me , mujhe le chal hausle ke bulañdiyoñ paṛ

Ye na dek ke mai kis ghar se nikal aya hu , Tu kisi roż dekhegã mujhe  meri manziloñ paṛ

Chalta Rahuñ mai is safar me din raat , be hisãb aur besabãr

Tu mera ñaam lega , Mujhko meri manziloñ ki Shaañ paṛ

Kya khoob the  wo safar aur wo safar ke pathaṛ

Mere mehñat ka gawaãhi dene sare taiyar hain is safar ka ek ek paťťa ek ek pathaṛ

Ye badal ye suraj aur ye samañdar jama hoñge mere adalat paṛ

Tu dekhega mujhe isi duniya ke taaj-o-takht paṛ

Milega mañzil mujhe bhi kisi roz

Tu sunega mere ñaam ke charche asmaño par

Bhula de meri mañzil , le chal mujhe

Asmano  ke uñchaaiyon  paṛ

Title: Bhula de meri manzil || hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Ek ladki jo mera || 2 lines shayari

Nigaahe nichi aur sar jhukaye baithi hai
nigahe nichi aur sar jhukaye baithi hai
ek ladhki hai mera dil churaye baithi hai

निगाहें नीची और सर झुकाए बैठी है
निगाहें नीची और सर झुकाए बैठी है
एक लड़की है जो मेरा दिल चुराए बैठी है  ❤️❤️❤️

Title: Ek ladki jo mera || 2 lines shayari


Pyaar ho jaata fir se || hindi shayari

Likha jo sach kaagaz par
Shayari bann gayi
Pyaar jo kiya chehra dekh kar
Mohabbat bann gayi
Dua jo maangi tumhari khairiyat ki
Ibaadat bann gayi
Nasha jo kiya tumhari yaad mein
Aadat bann gayi
Sangeet jo seekha tumhe lubhane ki khaatir
Manzil bann gayi
Ikraar karke meri jhooti muskurahat
Hasi bann gayi..

Jab tum apni badi badi aankhon se mughe dekhti ho
Tumhari aankhein zubaan bann jaati hai
Jab tum mera naam pukarti ho
Toh lagta hai ikraar-e-mohabbat hai
Jab tum masoom sawaal poochhti ho
Toh itna saaf iraada maine kahi nahi dekha
Jab tum mere sawaal poochhne ka intezaar karti ho
Tumhare jawaab mein ek rishta banane ki betaabi si hoti hai..

Laparwah aashiq se
Shayar tak ka mera safar
bahot khoobsurat tha
Aankh se aansu nikalkar
Kalam mein siyahi bankar
Kaagaz pe utarta tha..
Kaash tumne dekha hota
Pyaar ho jata phir se..

Title: Pyaar ho jaata fir se || hindi shayari