Skip to content

BJ ki Kalam se || shayari

Chup raho ab
Kuch na btao kisi ko.
Ro Chuke ho Akele me to ye ankhein na dikhao kisi ko.
Koi puche kya hua to kehna Sab thik hai?
Ab sath apne bithakar na sharab pilao kisi ko.

Title: BJ ki Kalam se || shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


MITHRRE BOLAAN NE MOH LIYA || 2 lines status

Mithrre bolaan ne moh liya is dil nu
korre hunde taan shayed takdeer ajh kujh hor hundi

ਮਿੱਠੜੇ ਬੋਲਾਂ ਨੇ ਮੋਹ ਲਿਆ ਇਸ ਦਿਲ ਨੂੰ
ਕੌੜੇ ਹੁੰਦੇ ਤਾਂ ਸ਼ਾਇਦ ਤਕਦੀਰ ਅੱਜ ਕੁਝ ਹੋਰ ਹੁੰਦੀ

Title: MITHRRE BOLAAN NE MOH LIYA || 2 lines status


Ehtiraam : respect || love shayari

Yeh bhi mumkin hai hum mutawazi apne safar par chale
Aur ittefaq se milne par toot jaaye
Yeh bhi mumkin hai hum apne apne raaste bhatak jaaye
Aur aakhir mein jahan se ibtida kiye the waha mil jaaye
Yeh bhi mumkin hai ke tumhara paigam aa jaaye
Aur dil mil jaaye
Ye bhi mumkin hai ke anaa ki daud mein hum kho de ek dusre ko
Aur zindagi ke aakhri daur mein humara pyaar mukammal ho jaaye
Yeh bhi mumkin hai hum apni manzil par pahunch jaaye
Aur jannat ke darwaaze par ek dusre ko galay lagaye..

Kya itna waqt lagana zaroori tha
Ab toh akelapan pasand aane laga hai mughe
Kya itna badalna zaroori tha
Ab toh yeh badla sa lagne laga hai mughe..

Meri tasawwur dil lagi tumse bohat haseen hoti hai
Shuruat meri sharaarat se hoti hai aur
Khatam tumhari muskurahat pe hoti hai..

Meri aadat aur meri zaroorat bhi tum
Meri dawa aur meri dua bhi tum
Mera guzra aur aanewaala waqt bhi tum
Bewajah aasoon aur bewajah muskurana bhi tum..

Title: Ehtiraam : respect || love shayari