Skip to content

Burq tujhe shayari bna diya

Shab-o-roz ki fikr hai ke ab poochon usska main haal kaise
Maine toh bewafayi na ki, toh mujhe hai yeh itna malaal kaise

Kaise chorh doon isse yeh illat nahi ne’mat hai yaar ‘Burq’
Cigarette na hou toh sulgaon bad-maazi ka poshida khayaal kaise

_________________________________

Mujh jaise ko bhi ussne jeena sikha diya
Bohat maghroor tha zameen se laga diya

Mera pathar sifat dil kabhi pighla kahan tha
Mujh jaise sang-dil ko ussne rona sikha diya

Yaar sukhan-vari ab har kisi ke bas mein kahan
Usski bewafayi ne ‘Burq’ tujhe shayar bana diya

_________________________________

Title: Burq tujhe shayari bna diya

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Khuafnaak gunah || true lines || Hindi shayari

Vo jo khanjar lekar hath mein,
Premika ki aur badhte hai
Esa khaufnaak gunah
Aashiq nahi karte hain 🙃💯

वो जो खंजर लेकर हाथ में,
प्रमिका की ओर बढ़ते हैं,
ऐसा खौफनाक गुनाह ,
आशिक नही करते हैं ।🙃💯

Title: Khuafnaak gunah || true lines || Hindi shayari


Pita || papa status || father love || father shayari in hindi

Pita duniya ki vo hasti hai jiska hath dhoop me chav aur pani me nav ke smaan hai.💯

पिता दुनिया की वो हस्ती है जिसका हाथ धूप में छांव और पानी में नाव के समान है। 💯

Title: Pita || papa status || father love || father shayari in hindi