Skip to content

CHUP DI JUBAAN

Eh jaroori nahi ke samjhan lai mere likhe shabdaan nu hi samajhi chup di v jubaan hundi e

Eh jaroori nahi ke samjhan lai
mere likhe shabdaan nu hi samajhi
chup di v jubaan hundi e


Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Ik taraf lahlahat chaman zindagi || Hindi latest shayari

Zindagi

Ik Taraf Lahlahata Chaman Zindagi
Ik Taraf Hai Khizaan Aur Ghutan Zindagi

Ik Taraf Himmat-O-Hausla ,Azm Bhi
Ik Taraf Uljhanein Aur Thakan Zindagi

Zindagi Aik Paheli Hai Aur Khud Hi Hal
Ab Kaho Kya Hai Aye AhleFan Zindagi

Neend Bhi Khawaab Bhi Aur Tabeer Bhi
Ik Tilasm-e-Purasraar-O-Fan Zindagi

Saltnat ,Takht-O-Taaj Aur Shahanshah Bhi
Tauq, Zanjeerein ,Daar-O-Rasan Zindagi

Sarhadon Par Nigehbaan Bhi , Ghaat Bhi
Maujzan Zindagi , Dilshikan Zindagi

Ye Hi Jashn-O-Charaaghaan Hai Aur Qahqahe
Maatam-O-Marsia , Nauhazan Zindagi

Ye Hi Shatranj Ke Mohre , Ye Hi Bisaat
Haar Aur Jeet Ka Air Chalan Zindagi

Rahguzar Bhi Hai Raahi Bhi Manzil Bhi Khud
Raahbar Bhi Zindagi Raahzan Zindagi

Khud Haqiqat Hai Aur Khud Hi Afsaanaa Bhi
Raaz Hai Az-zameen Taagagan Zindagi

Ye Hi Mahfil Bhi Hangama Sannata Bhi
Khud Hi Sanjeeda Khud Baankpan Zindagi

Zindagi Hai Ke Paani Ka Ik Bulbula
Phir Bhi Hai Kis Qadar Maujzan Zindagi

Hai Yahi Zindagi Aik Phoolon Ki Sej
Aur Kabhi Kaanton Ki Hai Chubhan Zindagi

Aashna Aur Shanasaa Bhi Anjaan Bhi
Baawatan Zindagi Bewatan Zindagi

.. Rekhta Pataulvi

Title: Ik taraf lahlahat chaman zindagi || Hindi latest shayari


कैसी दिखती होगी || Love hindi shayari

ek vaqt gujara use dekhe hue
jaane ab vo kaisee dikhatee hogee

kya ab bhee vaisee dikhatee hogee
haan haan kya pahale jaisee dikhatee hogee

jis aaine ko dekh vo sanvaaratee hogee
kya khoob usakee bhee kismat hogee

एक वक़्त गुजरा उसे देखे हुए
जाने अब वो कैसी दिखती होगी

क्या अब भी वैसी दिखती होगी
हाँ हाँ क्या पहले जैसी दिखती होगी

जिस आइने को देख वो संवारती होगी
क्या खूब उसकी भी किस्मत होगी

Title: कैसी दिखती होगी || Love hindi shayari