Skip to content

Dard, ek ehsas || hindi dard ki shayari

Dard do dilon ka raasta hota hai,
Kise rishte ka mohtaj nahi.
Dard do dildaron ki masoomiyat batata hai,
Kisi raees ki pehchan nahi.
Dard ko thodi hamdardi chahiye,
Dard ko choti tasalli chahiye,
Kisi kagaz ki mohar nahi.
Halki si thandi hawaein mangta hai,
Sath hone ka ehsas mangta hai,
Kisi khazane ki chamak nahi.

Title: Dard, ek ehsas || hindi dard ki shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Ishq Ishq na kareya || shayari on love in punjabi

“Ishq💞ishq na❌kreya Kr….
Reet👈🏻ishq di ta ishq na⚔️krna hundi ae,
Ishq💕kr k☑️fr ishq ch mrna🔪hundi ae..
Ishq💓kr k✅fr ishq ch mrna🔪hundi ae….”.

Title: Ishq Ishq na kareya || shayari on love in punjabi


Araam karo || 2 lines hindi shayari on life

Thoda sa chhup chhup kar khud ke liye bhi ji liya karo
koi nahi kahega k thak gaye ho araam karo

थोड़ा सा ..छुप छुप कर खुद के लिये भी जी लिया करो ..

कोई नही कहेगा कि थक गये हो आराम करों..

Title: Araam karo || 2 lines hindi shayari on life