
Vo samne bhi nahi aate fir bhi deedar ho jata hai..!!

ab apane zakhm dikhaoon kise aur kise nahin,
begaane samajhate nahin aur apano ko dikhate nahin…
अब अपने ज़ख़्म दिखाऊँ किसे और किसे नहीं,
बेगाने समझते नहीं और अपनो को दिखते नहीं…
Mashhoor hone ki khwaish nhi hme,
Aap hme jaante hai bs itna kaafi hai..
Paas se dekhne ki khwaish nhi hme,
Door se dekh lete hai bs itna kaafi hai..
Nzre milaane ki khwaish nhi hme,
Teri nazaron me khud ko dekh lete hai, bs itna kaafi hai.
Neend aane ki khwaish nhi hme,
Teri baaton me raat guzar jaaye, bs itna kaafi hai..
Likhne ki khwaish nhi hai hme,
Lafz panno pe khud uttar aaye, bs itna kaafi hai..
Tumhe maangne ki khwaish nhi hme,
tumhaare saath do pal mil jaaye, bs itna kaafi hai..