Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
True lines || ghaint hindi shayari
Sone chandi ko khajano mein rakha jata hai
Boodhe logo ko dalaano mein rakha jata hai
Rang hote hain bas khushboo nhi hoti jinmein
Unhi foolo ko guldano mein rakha jata hai💯
सोने चांदी को खजानों में रखा जाता है
बूढे लोगों को दालानों में रखा जाता है
रंग होते हैं बस, खुशबू नहीं होती जिनमें
उन्हीं फूलों को गुलदानों में रखा जाता है💯
Title: True lines || ghaint hindi shayari
Ishq kya hai? || ehsaas shayari hindi
ishq kya hai?
udaas jo hojauu main to aansoo ,
uski aankh se jhalak jaye.
dil pe lagi baat ko bhoolkar ,
vo meri ek muskurahat pe maanjaye.
khafa ho jab duniya mujhse,
to ek vo mujhe seene se lagaye.
tohfe chah kam hi sahi par mere liye izzat,
uski aankho me saaf nazar aaye.
roothna manana to chalta hi hai par jo main rooth jaun ,
to rooh uski bechain hojaye.
ye ehsaas hi to ishq hai, ye jazbat hi to ishq hai
