Skip to content

1654712914837-1b9d1fe8

Title: 1654712914837-1b9d1fe8

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Dil mein zakham jada || true line Hindi shayari

Har or uljhan aur khamoshiyon ka shor hai
Ankhon mein dhua aur sanson mein gubar bhara hai
Bheed ke tamaam chehro par muskan to bani hai
Lekin dilon mein zakham jada aur sukun zara hai 🙃💯

हर ओर उलझन और खामोशियों का शोर है
आँखों में धुँआ और साँसों में गुबार भरा है 
भीड़ के तमाम चेहरों पर मुस्कान तो बनी है 
लेकिन दिलों में ज़ख्म ज्यादा और सुकून जरा है 🙃💯

Title: Dil mein zakham jada || true line Hindi shayari


Ki likha hai kuch ek tarfa pe

Ke ek khwaab sa tha ushe
paane ka, aur ek darr bhi tha
usse dur jaane ka..

Ushe khabar tak nahi thi ke
mujhe ishq hai usse, aur mujhe darr tha ke kahin kho na du main ushe..

Vo kehti rhi apni kahani ki ushe
Ishq hai kisi aur se, aur hum
sunte rhe usko gaur se..
Vo sunati rhi hum sunte rahe
kuch kehna aasan na tha dil pe chhot jo lagi thi…

Phir jaane diya humne bhi ushe aur roka nahi usne bhi
hume khwahish to thi ki padh le wo aankhein meri pr Sukoon bhi tha ke wo khush hai kahin..

Title: Ki likha hai kuch ek tarfa pe