Skip to content

Flips_1671196163490-e5660ac1

Title: Flips_1671196163490-e5660ac1

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Ummed h bewajah || hindi shayari

Percentage pe jor dekr tum, ghyan ki umeed rkhte ho,

Krwake dange khud hi,

Shanti ki umeed rkhte ho,

Reservation ne bigad diye jo youth yaha,

Free me sab kuch dekr ,

Tum mehnat ki umeed rkhte ho ,

Paisa doge tab bnega afsar aapka beta,

Bolkr ye tum unse imandaari ki umeed rkhte ho,

Sab kuch chayein jinhe comfort zone me hi,

Kyun tum phir unse kranti ki umeed rkhte ho.

Title: Ummed h bewajah || hindi shayari


Hindi shayari || Motivational shayari

Mushkilon mein bhag jana asaan hota hai,
Har pehlu zindagi ka imtihan hota hai,
Darne walon ko kuchh milta nahi zindagi mein,
Aur ladne walon ke kadmon mein jahan hota hai🙌

मुश्किलों में भाग जाना आसान होता है,
हर पहलू ज़िन्दगी का इम्तिहान होता है,
डरने वालों को कुछ मिलता नहीं ज़िन्दगी में
और लड़ने वालों के कदमों में जहान होता है🙌

Title: Hindi shayari || Motivational shayari