Skip to content

Dost mere paas ho || Dost shayari

Teri meri dosti itni khaas ho
ki duniyaa kahe kaash aisa
dost mere paas ho

तेरी मेरी दोस्ती इतनी खास हो,
की दुनिया कहे काश ऐसा
दोस्त मेरे पास हो।

Title: Dost mere paas ho || Dost shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Ek sapna || sad shayari || hindi shayari

Aankh khuli to sapna tha, sapne me hi koi apna tha.
Us sapne me ek haseen lamha tha, sapna tuta phr se me tanha tha💔

आँख खुली तो सपना था, सपने में ही कोई अपना था
उस सपने में एक हसीन लम्हा था, सपना टूटा फिर से में तन्हा था💔

Title: Ek sapna || sad shayari || hindi shayari


Mujhe dar lagta hai || Sad and love shayaru

Mujhe dar lagta hai jab jab tu mera haath pakadta hai kyunki mujhe pata hai ye kabhi chutega to hi.

Mujhe dar lagta hai jab jab tum mujhe mehfooz nigahon se dekhte ho kyunki mujhe pata hai ye nigahen kabhi phirengi to hi.

Mujhe dar lagta hai jab jab tu mujhe apni baahon mein qaid kar leta hai kyunki mujhe pata hai tu kabhi inse riha karega to hi.

Mujhe dar lagata hai jab jab tu mujhe apna ehsas dilata hai kyunki mujhe pata hai ye ehsas aage maujud hoga nahi.

Mujhe dar lagta hai jab jab mere qareeb aata hai kyunki mujhe pata hai tu dur kabhi na kabhi to hoga hi.

Mujhe dar lagta hai teri inn baton se kyunki mujhe pata hai ye baatein aage kabhi hogi ni.

Mujhe dar lagta hai jab jab tu mujhse milta hai kyunki mujhe pata hai tere ye milne se aage mohtajgi hogi hi.

Mujhe dar lagta hai tere har waqt ke saath se kyunki mujhe pata hai ye saath akhir ek na ek din tutega hi.

Title: Mujhe dar lagta hai || Sad and love shayaru