
Taan hi dil de haal hun sanjhe nhi hunde..!!

Kuch Adhure se khwab yun hi adhure hai aaj
mukkamal se hum kahi na kahi adhure hai aaj
dekh aayna sochte he aaj kya un tute khwab ki tarah hum bhi adhure hai aaj💔
कुछ अधूरे से ख्वाब यूँ ही अधूरे है आज
मुकम्मल से कहीं न कहीं अधूरे हैं आज
देख आईना सोचते हैं आज क्या उन टूटे ख्वाब की तरह हम भी अधूरे हैं आज💔
College ki seedhi per khade ho kar Kuch logo ke sath guftagu karna yaad aata hai,
Mujhe zindagi ke her palat’te panne ke sath,
Dosto se bichadna yaad aata hai…
Guzar raha hai waqt un parchaiyo’n ke sath,
Jinme the kuch yaar hatho me daale hath,
Na main hun ab na wo reh gaye hain wahi,
Per lamho me hain qaid wo mere kahin na kahin,
Kabhi khali se waqt me ho bhi jati hai baat,
Warna raftaar ki is duniya me koun rakhta hai ab yaad,
Jo mil jaye tumhe wo dour kahi to jaane na tum dena,
Na ayega wo lout ke is baat ko meri maan lena,
Aj bhi her mod her rasta mujhe unki yaad dilata hai,
Jin per hum sath the aur phir waqt tham sa jata hai,
Us mod per khadi hun jis rah tum mude the,
Yaar mere tu yaad kar, kabhi hum tum bhi jude the !!