Skip to content

Screenshot_20220115_171057-54a9f28e

Title: Screenshot_20220115_171057-54a9f28e

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Chal shadd mnaa || life shayari

Chl shdd mnaa ..ki jana usde daraa te..
Jisnu Saar hi nhi mere halaatan di..!!
“Roop”sajda kriye taa us dar te ja k kriye..
Jithe kadar howe jajbataan di..!!

ਚੱਲ ਛੱਡ ਮਨਾਂ.. ਕੀ ਜਾਣਾ ਉਸਦੇ ਦਰਾਂ ਤੇ..
ਜਿਸਨੂੰ ਸਾਰ ਹੀ ਨਹੀਂ ਮੇਰੇ ਹਾਲਾਤਾਂ ਦੀ..!!
“ਰੂਪ”ਸਜਦਾ ਕਰੀਏ ਤਾਂ ਉਸ ਦਰ ਤੇ ਜਾ ਕੇ ਕਰੀਏ..
ਜਿੱਥੇ ਕਦਰ ਹੋਵੇ ਜਜਬਾਤਾਂ ਦੀ..!!

Title: Chal shadd mnaa || life shayari


Tum mere ho! 🌸 || True love Hindi Poetry

Tum Tumhe dekh kar sath mai kisi aur ke..
Lgna to nahi chahiye pr bura sa lgta hai..
Khali khali sa rehta hoon tumhare bina..
Tumhe dekh bhi lu to bhra sa lgta hai..

Tum ugh ke duniya se mujhse baat krte ho,
Mai kha-m-kha khud ko khaas smjh leta hoon,
Tum mere swaalo ka bs jawaab dete rehte ho,
Mai kha-m-kha usko tmhari baat smjh leta hoon,
Ab ishq krne se pehle saathi chuna thodi jaata hai..
Pyar to bas ho jata hai, kiya thodi jaata hai..

To ab haqiqat mai na sahi, khwaab mai hi rishte gehre ho,
Mai tumhara nahi to kya houa? Tum to mere ho,,,
Mujhe pta hai mukaam tk nahi phochne vaala mai..
Safar hi itna haseen hai ki manzil chahiye bhi kisko,
Tumhe hasta houa dekh lu, isi mai din sawar sa jata hai
Isme itna sukoon hai bdle mai ishq chahiye kyun! Mujhko

Tumhare pass mere kiye waqt nahi hai
Par ispr ruthne ka mujhe koi haq nahi hai..
Marzi meri hai ki tumse ishq karta rahu mai..
Mujhe to pta hai ki yai mohabbat 2 tarfi nahi hai..
Ab haqiqat mai andhera sahi..
Khwaab to mere sunehre ho

Mai tumhara nahi to kya houa?
Tum to mere ho..
Tumhe pta hai vo milega nahi.

Phir bhi usi ke liye dua hoti hai..

hasil karni hai mohabbat, to vo mohabbat nahi zidd hai..
Kyuki pyar mai to bs aazadi chahiye hoti hai..
Ek tarfa pyar mai kuch aur nahi milega.. Na ummmid na malal, bs pyar hi pyar dikhega..

Abhi meri baat smjh ayegi nahi.. Kyuki
Tum thodi akele ho,
Mai tumhara nahi to kya houa? Tum to mere ho..

Title: Tum mere ho! 🌸 || True love Hindi Poetry