Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Mohabbat ke shartein
Meri zulfon ke gehro mein sukoon mile toh kehna,
Lambi si raatein ab mere saath choti lagne lage toh kehna,
Aur mujhse door rehkr bhi, mujhi si pyaar kr sako toh kehna..
Kyunki iss baar mohabbat nibha pao toh hi rehna.
Title: Mohabbat ke shartein
Mitti ki khoobsurti || Hindi shayari
Girte patton se shakhon ke berang nazare hain
Lehron ki khanak sunne ko betaab kinare hain
Murjha gayi hain kaliyan bhi do boond pani ki aas mein
Mitti ki khoobsurti ab bejaan foolon ne saware hain…💯
गिरते पत्तों से शाखों के बेरंग नज़ारे हैं,
लहरों की खनक सुनने को बेताब किनारे हैं,
मुरझा गई हैं कलियाँ भी दो बूँद पानी की आस में,
मिट्टी की खूबसूरती अब बेजान फूलों ने सवारे हैं…💯

