Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Mother love
Khud se badhkar humko chahe humse shuru hum hi se khatam uski raahe hamare sapno me kho gyi uski khwahishein khin apne liye jeena kabhi seekha hi nhi bahar khana pasand nahi cinema jana pasand nahi nhi chaiye mehange uphaar kimti hai to bas ghar parivaar kabhi pyaar uska meetha to kabhi teekha hai jhooth bolna maine meri MAA se seekha hai jab jab uska dil dukha utna hi vo muskuraye yu to duniya ki sabse badi juthi hai vo par kayanaat ka har sach uske kadmo me sar jhukaye ❣️
Title: Mother love
Mohobbat || hindi shayari collection
Khwabon mein aate ho tum
yaadon mein aate ho tum
jahan mein jau jahan mein dekhu
mujhe nazar aate ho tum..!!
ख्वाबों में आते हो तुम
यादों में आते हो तुम
यहाँ मैं जाऊं यहाँ मैं देखूं
मुझे नज़र आते हो तुम..!!
Aankhon me rahne walo ko yaad nahi karte,
Dil me rehne walo ki baat nahi karte,
Hamari to ruh me bus gaye hain aap,
Tabhi to hum milne ki fariyaad nahi karte..!!
आंखों में रहने वालों को याद नहीं करते
दिल में रहने वालों की बात नहीं करते
हमारी तो रूह में बस गए हैं आप
तभी तो हम मिलने की फरियाद नहीं करते..!!
Kuch nasha teri baat ka hai
Kuch nasha dhimi barsaat ka hai
Hum to kabse nashe me dub jaane ko tayyar hai
Intezar to sirf aapki mulakat ka hai..!!
कुछ नशा तेरी बात का है
कुछ नशा धीमी बरसात का है
हम तो कब से नशे में डूब जाने को तैयार है
इंतज़ार तो सिर्फ आपकी मुलाकात का है..!!
Mulakat maut ki mehman ban gayi hai
Nazar ki duniya veeran ban gayi hai
Meri sans bhi ab meri nahi rahi
Ye zindagi aapki mohabbat par kurban ho gayi hai..!!
मुलाकात मौत की मेहमान बन गई है
नज़र की दुनियां वीरान बन गई है
मेरी साँस भी अब मेरी नहीं रही
ये ज़िन्दगी आपकी मोहोब्बत पर कुरबान हो गई है..!!
