Skip to content

Har Dil Mein Umang Bhar Deti Hai

    शायरी हर दिल में,

  उमंग भर देती है

  जो कभी बे-रंग थे, उन दिलों में भी,

 मोहब्बत के रंग भर देती है

Shayari Har Dil Mein,

Umang Bhar Deti Hai

Jo Kabhi Berang The, Un Dilon Mein Bhi,

Mohabbat Ke Rang Bhar Deti Hai.

Title: Har Dil Mein Umang Bhar Deti Hai

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


RAWAUNGE

Saade athru na samjhi tu bekar kade ik din vekhi tainu vi eh rawaunge

Saade athru na samjhi tu bekar kade
ik din vekhi
tainu vi eh rawaunge



Intezaar || hindi shayari || janamdin shayari

Shukriyaa khuda ka zameen pe utara aapko aaj ke din
Chalo ek aur dafa manaaye yeh haseen din aapke bin
Muntazir toh iss tarah rehta hai pagla jaise dil milenge iss din
Apna bhool jaunga par nahi bhool paunga aapka janamdin..

Jab tum deewar par apna sar rakhti ho
Toh bahot khoobsurat lagti ho..
Phir jab tum muskura deti ho
Toh usse bhi jyada khoobsurat lagti ho..

Kehdo ki jab main tumhe din mein
Pehli dafa dekhta hoon
Toh mugh par nazar nahi rakhti
Kehdo ki jab main tumhari ore
Kadam badhata hoon
Toh tumhari dhadkan nahi badhti
Kehdo ki jab main tumhare
Roobaroo baithta hoon
Toh mere rukh ko itmenaan se nahi dekhti
Kehdo ki mere jaane ke baad
Tumne ek baar bhi meri
Kami mehsoos nahi ki
Ek aakhri baar meri kasam khaao aur
Kehdo ki har hafte tum meri
Shayari ka intezaar nahi karti..

Title: Intezaar || hindi shayari || janamdin shayari