Skip to content

Haseen Maut || Awesome Hindi shayari

Ye maut tujhse haseen c lgti h, zindgi…

Ye Bhin bhin se roop dhare ajati hai,
Kbhi kbhi toh darrati hai kbhi neend se uthati h,
Kbhi raat c andheri kbhi rangeen c lgti h, zindgi…

Ye maut tujhse haseen c lgti h, zindgi…

Ye sukoon se sulati h, firdaus main baithati hai,
Tu thodi toh khudgarz hai pr mujhpe tere kyi karaz hai,
Tbhi roz mujhe thagti hai zindgi

Ye maut tujhse haseen c lgti h zindgi…

Title: Haseen Maut || Awesome Hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Yaad aate hai bachpan ke wo din  || maa

Yaad aate hai bachpan ke wo din

Jab maa daantkar khana khilati thi

Kabhi gussa hokar mein bhukhi hi so jati thi

Subah hote hi maa deti thi maa banakr khana

Usme bhi maa ka pyar pane ke liye mera nakhre dikhana

Jab kabhi udaas huyi toh maa ko gale lagaya

Yaad ati hai maa jb aaj khudko akela paya

Jab lagti thi chot mujhe aansu unki aankh mein hote the

Jab bimar huyi wo, hum chup chupkar rote the

Nahi hoga unhe kuch ye yakin dilaya

Lekin bhagwan ka likha koi badal na paya

“Mujhe bacha lo” ye aakhiri the shabd unke

Kaash mein de paati apni saansein unhe

Toh aaj chubhte nahi ye shabd unke

Wo kahti thi ‘beta strong ban’, me kahti thi strong hu mein

Par kaise batau mein strong tab thi jab hath mere sir pe the unke

Nahi rok pati aansu apne jab yaad aati hai unki

Unke bina kamjor hai beti ye unki

Title: Yaad aate hai bachpan ke wo din  || maa


Shayri attitude || udh rahe kabootar

Udh rahe kabootar shehar me
enhe shant kaun karega
yadi ham shareef ho gaye
to kaandd kaon karega

उड़ रहे कबूतर शहर में,
इन्हे शांत कौन करेगा;
यदि हम शरीफ हो गए,
तो कांड कौन करेगा।

Title: Shayri attitude || udh rahe kabootar