Skip to content

Hindi dil shayari || Apne dil ki sunn

HINDI DIL SHAYARI || APNE DIL KI  SUNN
Apne dil ki sunn,
afwahon se kaam na le
mujhe yaad rakh, beshak naam na le
tera veham hai ki hum bhool gaye tujhe
arey ARSH ki koi aisi shayri nahi jo tera naam na le



Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


kaun khareedega ab heeron ke || Sad And Dard Bhari Hindi SHayari

kaun khareedega ab heeron ke daam mein tumhaaren aanshoo,
vo jo dard ka saudaagar tha, mohabbat chhod dee usane.

कौन खरीदेगा अब हीरों के दाम में तुम्हारें आंशू,
वो जो दर्द का सौदागर था, मोहब्बत छोड़ दी उसने.

Title: kaun khareedega ab heeron ke || Sad And Dard Bhari Hindi SHayari


Hath to milaya kar || Hindi shayari

Khud ko itna bhi matt bachaya kar
Barishein ho to bheeg jaya kar
Chand lakar koi nahi dega
Apne chehre se jagmagaya kar
Dard heera hai dard moti hai
Dard ankhon se mat bahaya kar
Kaam le kuch haseen hontho se
Baaton baaton mein muskuraya kar
Kaun kehta hai dil milane ko
Kam se kam hath to milaya kar..😊

खुद को इतना भी मत बचाया कर,
बारिशें हो तो भीग जाया कर।
चाँद लाकर कोई नहीं देगा,
अपने चेहरे से जगमगाया कर।
दर्द हीरा है, दर्द मोती है,
दर्द आँखों से मत बहाया कर।
काम ले कुछ हसीन होंठो से,
बातों-बातों में मुस्कुराया कर
कौन कहता है दिल मिलाने को,
कम-से-कम हाथ तो मिलाया कर।😊

Title: Hath to milaya kar || Hindi shayari