Skip to content

Hindi shayari || sad but true

Maut to aani hi hai..
Phir beemari se hi sahi…
Fikar to honi hi hai..
Phir pareshaani hi sahi…🍁

मौत तो आनी ही है..
फिर बीमारी से ही सही…
फिक्र तो होनी ही है..
फिर परेशानी ही सही…🍁

Title: Hindi shayari || sad but true

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Itni Muddat Baad || HIndi Gazal

Itni Muddat Baad #Gazal# 

Itni Muddat Baad Mile Ho
Kin Socho Mein Gum Rahate Ho

Tez Hawaa Ne Mujh Se Puchaa
Ret Pe Kya Likhte Rehte Ho

Kaun Si Baat Hai Tum Mein Aisi
Itne Achchhe Kyon Lagte Ho

Hum Se Na Poocho Hijr Ke Qisse
Apni Kaho Ab Tum Kaise Ho!

Title: Itni Muddat Baad || HIndi Gazal


Dard, ek ehsas || hindi dard ki shayari

Dard do dilon ka raasta hota hai,
Kise rishte ka mohtaj nahi.
Dard do dildaron ki masoomiyat batata hai,
Kisi raees ki pehchan nahi.
Dard ko thodi hamdardi chahiye,
Dard ko choti tasalli chahiye,
Kisi kagaz ki mohar nahi.
Halki si thandi hawaein mangta hai,
Sath hone ka ehsas mangta hai,
Kisi khazane ki chamak nahi.

Title: Dard, ek ehsas || hindi dard ki shayari