Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Mulakaat bhi hogi || hindi shayari || sad shayari
Din hua hai, to raat bhi hogi,
Mat ho udaas,usse kabhi baat bhi hogi
Vo pyar hai hi itna pyara,
Zindagi Rahi to mulakaat bhi hogi❤️
दिन हुआ है, तो रात भी होगी,
मत हो उदास, उससे कभी बात भी होगी।
वो प्यार है ही इतना प्यारा,
ज़िंदगी रही तो मुलाकात भी होगी।❤️
Title: Mulakaat bhi hogi || hindi shayari || sad shayari
Ek rishta pyaar ka || rishta shayari
Rishta ho pyaar ka,ya nafrat ka
Rishta ho dard ka,ya ho mohabbat ka
Rishta toh hamesha rehta hai khaas
Chahe kitna bhi dur ho ya paas
Jaane waale to chale jaate hain
Todne waale toh Tod dete hain
Lekin jo aakhir main reh jaata hai woh hai rishta.pyaar ka rishta,dil ka rishta.
Jaruri nahi rishtey ka koi naam ho
Ya Koi daam ho
Bas ho bedaag,maasum aur pyaara
Hamaare jeene ka sahara
Jo rahe dil ki dhadkan main
Yeh dikhne wala cheez nahi yeh toh logon ko jodta hai atoot bandhan main
