Skip to content

Ik taraf lahlahat chaman zindagi || Hindi latest shayari

Zindagi

Ik Taraf Lahlahata Chaman Zindagi
Ik Taraf Hai Khizaan Aur Ghutan Zindagi

Ik Taraf Himmat-O-Hausla ,Azm Bhi
Ik Taraf Uljhanein Aur Thakan Zindagi

Zindagi Aik Paheli Hai Aur Khud Hi Hal
Ab Kaho Kya Hai Aye AhleFan Zindagi

Neend Bhi Khawaab Bhi Aur Tabeer Bhi
Ik Tilasm-e-Purasraar-O-Fan Zindagi

Saltnat ,Takht-O-Taaj Aur Shahanshah Bhi
Tauq, Zanjeerein ,Daar-O-Rasan Zindagi

Sarhadon Par Nigehbaan Bhi , Ghaat Bhi
Maujzan Zindagi , Dilshikan Zindagi

Ye Hi Jashn-O-Charaaghaan Hai Aur Qahqahe
Maatam-O-Marsia , Nauhazan Zindagi

Ye Hi Shatranj Ke Mohre , Ye Hi Bisaat
Haar Aur Jeet Ka Air Chalan Zindagi

Rahguzar Bhi Hai Raahi Bhi Manzil Bhi Khud
Raahbar Bhi Zindagi Raahzan Zindagi

Khud Haqiqat Hai Aur Khud Hi Afsaanaa Bhi
Raaz Hai Az-zameen Taagagan Zindagi

Ye Hi Mahfil Bhi Hangama Sannata Bhi
Khud Hi Sanjeeda Khud Baankpan Zindagi

Zindagi Hai Ke Paani Ka Ik Bulbula
Phir Bhi Hai Kis Qadar Maujzan Zindagi

Hai Yahi Zindagi Aik Phoolon Ki Sej
Aur Kabhi Kaanton Ki Hai Chubhan Zindagi

Aashna Aur Shanasaa Bhi Anjaan Bhi
Baawatan Zindagi Bewatan Zindagi

.. Rekhta Pataulvi

Title: Ik taraf lahlahat chaman zindagi || Hindi latest shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Meri chahat || love Punjabi shayari || two line shayari

Rabba meri chaht da mull💞 zaroor payi ❣️
Ohne ki payea👆 te ki khoyea💎 ehsaas zaroor krayi…..💯🙏

ਰੱਬਾ ਮੇਰੀ ਚਾਹਤ ਦਾ ਮੁੱਲ 💞 ਜਰੂਰ ਪਾਈ ❣️
ਉਹਨੇ ਕੀ ਪਾਇਆ👆 ਤੇ ਕੀ ਖੋਇਆ 💎 ਅਹਿਸਾਸ ਜਰੂਰ ਕਰਾਈ…..💯🙏

Title: Meri chahat || love Punjabi shayari || two line shayari


Yaari 🤝 || sad but true || punjabi shayari

Yaariyaari sareye krde …🥀
Fr sath den vele kyu paasa vatt de.😏.
Yaar aa yaar aa kr… Pith pichye fr kyu gallan eh krde… 🗣️😈…Dhoke daari de baazar ch ajj satta vjiaa  dungi ne…❤‍🩹.
Yaar hi badalgye laa scheme aa ,kr gallan adhuri aa..🍂..
Maadi aa meet krdi gallan jo puri aa… Yaari hi shdgye ,shd vich yaariyaan adhuriaa…🥺🥀.. 

Title: Yaari 🤝 || sad but true || punjabi shayari