Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Jane kon kon se raaz || HIndi shayari best
Jaane kon kon se Raaz kholti hai
Khamoshi jab sir chhad kar bolti hai
Le jaati hai mujhe Andheri galiyon m
Fir der tk meri nbz tatolti hai
Durr rehne ki iss se kai minnate ki mene
Teri hamraaz hoon reh reh kar Bolti hai
Kya milta hai ise gade murde udkhad kar
Raat raat bhar laasho sang dolti hai
Zehr .. tezaab… Awara khushuye
Kya kya aakar zehn m gholti hai
Mere badan m uthi hai basi limsa koi
Bechain rooh mano tera rasta tatoli hai
Title: Jane kon kon se raaz || HIndi shayari best
Tumhe duniya bhool sakti hai hum nahi || hindi shayari
Patte gir sakte hai par ped nhi
Suraj doob sakta hai par aasmaan nhi
Dharti sukh sakti hai pr sagar nhi
Tumhe duniya bhool skti hai par hum nhi✌
पत्ते गिर सकते है पर पेड़ नहीं,
सूरज डूब सकता है पर आसमान नहीं,
धरती सुख सकती है पर सागर नहीं,
तुम्हे दुनिया भूल सकती है पर हम नहीं✌
