Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Ladka hona bhi khan itna aasan hai
Agar betiyan naseeb se to Bete bhi duaaon ke saath aate hai apni aashaon ko rakh kar alag pehle faraz nibhate hai Bete se pita tak ka kirdaar vo bakhubi nibhaye fir bhi kabhi bura pati to kabhi beta bura kehlaye parivaar ka bhar kandho par liye chlata hai kamyaab hote hote na jaane kitni baar fislata hai roye to kamjor na roye to pathar dil do tarfa samaaj me jeena hai mushkil man me zimmedari ka bhoj chehre par muskaan hai ladka hona bhi khan itna aasan hai….ladka hona bhi khan itna aasan hai💙
Title: Ladka hona bhi khan itna aasan hai
Kabhi dil bhi milaya kar || Hindi shayari || true LINEs
आँखों से आंसू मत बहाया कर
बारिशें हों तो ख़ुद भीग जाया कर
चाँद है तु खुद का
ख़ुद के लिए जगमगाया कर
सिर्फ हाथ का काम नहीं है मिलना
कभी दिल भी मिलाया कर✨
Ankhon se aansu Matt bahaya kar
Barishein ho to khud bheeg jaya kar
Chaand hai tu khud ka
Khud ke liye jagmagaya kar
Sirf hath ka kaam nhi hai milna
Kabhi dil bhi milaya kar✨
