Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Bheegi bheegi raat main
Bheegi bheegi raat main tujhse milna acha lagta hai
Haathon main haath leke Milo dur saath chalna acha lagta hai
Tere saath pyaar ke haseen pal gujarna acha lagta hai
Kuch naa kehke bhi sab kuch kehna mujhe acha lagta hai
Ankho main ankhe bhar ke ek duje ko mehsoos karna acha lagta hai
Iss berang zindagi main khushiyon ke pal bharna dil ko sukoon de jaata hai
Saare gam ko bhula deta hai
Aankho se nami Mita deta hai
Aur Tera paas hona saari Kami Mita deta hai
Title: Bheegi bheegi raat main
Rabba ab to reham kar de || hindi shayari
Duaon se ho, darkhwast nhi ho,
Sath to ho mere par, aas paas nhi ho,
Aabad ho ye zameen fir se,esa koi karm kar de,
Ya rabba jhuk gya sir mera bhi, ab tk reham kar de…🙌🙏
दुआओं से हो, दरख़्वास्त नहीं हो,
साथ तो हो मेरे पर, आस पास नहीं हो…
आबाद हो ये ज़मीं फिर से, ऐसा कोई करम कर दे,
या रब्बा झुक गया सिर मेरा भी, अब तो रहम कर दे…🙌🙏
