Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Zindagi tere naam likhi hai
Zindagi tere naam likhi hai!!
Zindagi tere naam likhi hai dil ke safar mein,
Har lamha tu saath ho, toh kya baat hai guzar mein.Muskurahat teri roshni hai andheron ke sheher mein,
Tere bina lagta hai kuchh adhura har nazar mein.Khwaab teri baahon ke, sach ban jaaye har shaam,
Bas itna hai armaan… zindagi ho tere naam…..~vaishnavi!!
Khabar nahi hai use || hindi shayari
Sab kuch jaan kar bhi mere haalat ki khabar nhi hai use
Mujhe kehti hai ke bhut kuch hai mere pass
Par mujhe lagta hai ke bas ek sabar nhi hai use
Koi jaakar bataye use ki maut to aayegi use bhi
Khuda ki bheekh mein di huyi zindagi amar nhi hai use🙌
सब कुछ जान कर भी मेरे हालात की खबर नहीं है उसे
मुझे कहती है कि बहुत कुछ है मेरे पास
पर मुझे लगता है कि बस एक सबर नहीं है उसे
कोई जाकर बताएं उसे की मौत तो आएगी उसे भी
खुदा की भीख में दी हुई जिंदगी अमर नहीं है उसे।🙌

