Skip to content

Khamoshi aur Himmat || motivational shayari hindi

Kabhi kabhi ro liya karo acha lagega,
Ansu ke sath sath dard bhi behjayega.
Thoda intezar aur karlo,
Andheri raat guzregi, tabhi toh naya savera milega.

Kabhi kabhi khamosh reh liya karo sukoon milega,
sawal ke sath sath jawab bhi milega.
Thodi himmath aur rakhlo,
Kamzori khatam hogi tabhi toh jeet ka pata chalega.

Title: Khamoshi aur Himmat || motivational shayari hindi

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


nayi dosti || hindi shayari || dosti pyar shayari

Karne gya bazar apni dosti ki khoj
dosti se naraz mile hume kuch dost
humne pucha dost banoge kya?
unhone haste hue kaha bewaqt bin wajah rukoge kya
aakhe ye kehkar nam ho gyi
bin bole humari dosti aarambh ho gyi🌼

करने गया बाज़ार अपनी दोस्त की खोज
दोस्ती से नाराज़ मिले हमें कुछ दोस्त
हमने पूछा दोस्त बनोगे क्या?
उन्होंने हँसते हुए कहा बेवक़्त बिन वजह रुकोगे क्या
आंखें यह कहकर नम हो गई
बिन बोले हमारी दोस्ती आरंभ हो गई🌼

Title: nayi dosti || hindi shayari || dosti pyar shayari


Hath to milaya kar || Hindi shayari

Khud ko itna bhi matt bachaya kar
Barishein ho to bheeg jaya kar
Chand lakar koi nahi dega
Apne chehre se jagmagaya kar
Dard heera hai dard moti hai
Dard ankhon se mat bahaya kar
Kaam le kuch haseen hontho se
Baaton baaton mein muskuraya kar
Kaun kehta hai dil milane ko
Kam se kam hath to milaya kar..😊

खुद को इतना भी मत बचाया कर,
बारिशें हो तो भीग जाया कर।
चाँद लाकर कोई नहीं देगा,
अपने चेहरे से जगमगाया कर।
दर्द हीरा है, दर्द मोती है,
दर्द आँखों से मत बहाया कर।
काम ले कुछ हसीन होंठो से,
बातों-बातों में मुस्कुराया कर
कौन कहता है दिल मिलाने को,
कम-से-कम हाथ तो मिलाया कर।😊

Title: Hath to milaya kar || Hindi shayari