Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Ishq mein bande ka bachta kuch nahi || Hindi shayari on ishq
Kya galat fehmi mein reh jane ka sadma kuch nahi,
Vo mujhe samjha to sakta tha ke esa kuch nahi
Ishq se bach kar bhi banda kuch nahi hota magar
Ye bhi sach hai ishq mein bande ka bachta kuch nahi…..🖤🥀
क्या ग़लत-फ़हमी में रह जाने का सदमा कुछ नहीं,
वो मुझे समझा तो सकता था कि ऐसा कुछ नहीं
इश्क़ से बच कर भी बंदा कुछ नहीं होता मगर,
ये भी सच है इश्क़ में बंदे का बचता कुछ नहीं…. 🖤🥀
Title: Ishq mein bande ka bachta kuch nahi || Hindi shayari on ishq
Tumko bhool jana || love sad shayari hindi
Ghadi ki tarha chalte ho tum hamare dimagh mein,
Tumko Yaad karne ki wajah nahi hoti.
Hawa ki tarah jhoomte ho tum hamare khayalon mein,
Tumko bhulane ki koshish nahi horahi.
Hazar wajah mil gaye tumse dur jane ki,
Hazar wajah mil gaye tumse dur jane ki
Maan kar isey khudrath ka faisla chale bhi gaye hum dur,
Kambakht kismat phir se paas le aayi.
Zid hamari bhi hai ke hojayenge tumse dur,
Kyun ki tumhare pyar mein wo pehle jaisi kashish nahi rahi.
