Skip to content

KhubSurat || Hindi shayari || beautiful love shayari

Love shayari on khoobsurti || gulab shayari || Aapki ada ka kya jawab de.... konsa khoobsurat uphaar de.. jo khud khoobsurti ki misaal hai.... us gulab ko kya gulab de...💕
Aapki ada ka kya jawab de…. konsa khoobsurat uphaar de.. jo khud khoobsurti ki misaal hai…. us gulab ko kya gulab de…💕



Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Khalwat-e-intezaar : seclusion of waiting

Tumhari mohabbat bohat ajeeb aur gehri hai
Meri mohabbat bohat pagali aur sachhi hai..

Mere paas tumhare sath koi tasveer nahi toh kya hua
Hamare haseen ishaaro ko shayari mein qaid kar liya..

Kisi ko paane ki chahat mein apni poori
Shakhsiyat badal dena bhi ishq hai..
Kisi ke liye saari umar muntazir rehne ki
Taiyaari karna bhi ishq hai..

Agar tum meri hokar bhi
Main tumhare sath dusri jagah hoon
Toh samajh lena kho diya hai tumne mughe..

Mera khauf bhi tum
Meri khata bhi tum
Meri maafi bhi tum
Meri saza bhi tum..

Akela hoon ya mehfil mein tumhara har pal
Dahine ore se mughe dekhna bhi ishq hai..
Be intehaan dafa aayine ke muqabil
Izhaar-e-ishq karna bhi ishq hai..

Title: Khalwat-e-intezaar : seclusion of waiting


Hum kab bade ho gaye || hindi shayari

Vo sapneele lamhe kab kho gye pta hi na chala
Rengte the, kab khade ho gaye pta hi na chala
Khilaune to aaj bhi vahi hai, e waqt
Hum kab bade ho gaye pta hi na chala…🤞🏽🍂

वो सपनीले लम्हे कब खो गए पता ही ना चला,
रेंगते थे, कब खड़े हो गए पता ही ना चला,
खिलौने तो आज भी वही है, ए-वक्त,
हम कब बड़े हो गए पता ही ना चला…🤞🏽🍂

Title: Hum kab bade ho gaye || hindi shayari