Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Chal padhe hai raaho mein
Chal padhey hain raahon mein shayad koi basaa le hamey apni nigaahon mein, waise to jee rahey hain berukhi si zindagi agar koi Mila hamsafar to ho jaayeinge shaamil uske sangh mohabbat ki panaho mein warna Kam se kam mout to samaa hi legi hamey apni baahon mein……..
Title: Chal padhe hai raaho mein
jab se dekha hai || Hindi romantic shayari
jab se dekha hai teree aankho me jhaank kar,
koee bhee aaeena achchha nahee lagata,
teree mohabbat me aise hue hai deevaane,
tumhe koee aur dekhe to achchha nahee lagata..
जब से देखा है तेरी आँखो मे झाँक कर,
कोई भी आईना अच्छा नही लगता,
तेरी मोहब्बत मे ऐसे हुए है दीवाने,
तुम्हे कोई और देखे तो अच्छा नही लगता..
