Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Jeena seekh liya || hindi shayari
Waqt ki pabandiyon se mene jeena seekh liya
Kalam thaam kar shabdon ko mene pirona seekh liya,
Hathon ke shaale dekhkar rona kis baat ka
Badhte waqt ke sath mene shaan ae jeena seekh liya… 😊👐
वक्त की पाबंदीयो से मैंने जीना सीख लिया,
क़लम थाम कर शब्दों को मैंने पिरोना सीख लिया,
हाथों के छाले देखकर रोना किस बात का,
बढ़ते वक्त के साथ मैंने शान से जीना सीख लिया…😊👐
Title: Jeena seekh liya || hindi shayari
mAut se nind churai ja sakti hai || hindi shayari
Dil ke andar aag lagaai jaa sakti hai
Dilwalo se jaan chhudai jaa sakti hai
Us ne Hans kar meri jaanib dekh liya hai
Yaani us se baat badhayi jaa sakti hai
Samandar paar to baatien ho jaati hai
Kya maazi Mai call milaayi jaa sakti hai
Nayi muhabbat mahangi padti hai to dekho
Koi puraani theek karaayi jaa sakti hai
Darwaaze par dastak de kar dekh liya hai
Darwaaze se teg lagaai jaa sakti hai
Zindagi se Khuwaab humaien kuch mil sakte hai
Jaise mout se neend churaai jaa sakti hai
