Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Hamari bhi kuchh keemat hai… || Hindi shayari and status
Hamari bhi kuchh kimat hai janab
jaroori nahi
ki har toseef ka lafaz aapke liye hi ho
ਹਮਾਰੀ ਭੀ ਕੁਛ ਕੀਮਤ ਹੈ ਜਨਾਬ,
ਜਰੂਰੀ ਨਹੀਂ
ਕਿ ਹਰ ਤੌਸੀਫ ਕਾ ਲਫਜ਼ ਆਪਕੇ ਲੀਏ ਹੀ ਹੋ….👀 ….Aman❤
Title: Hamari bhi kuchh keemat hai… || Hindi shayari and status
Burq tujhe shayari bna diya
Shab-o-roz ki fikr hai ke ab poochon usska main haal kaise
Maine toh bewafayi na ki, toh mujhe hai yeh itna malaal kaise
Kaise chorh doon isse yeh illat nahi ne’mat hai yaar ‘Burq’
Cigarette na hou toh sulgaon bad-maazi ka poshida khayaal kaise
_________________________________
Mujh jaise ko bhi ussne jeena sikha diya
Bohat maghroor tha zameen se laga diya
Mera pathar sifat dil kabhi pighla kahan tha
Mujh jaise sang-dil ko ussne rona sikha diya
Yaar sukhan-vari ab har kisi ke bas mein kahan
Usski bewafayi ne ‘Burq’ tujhe shayar bana diya
_________________________________
