Shayari | Latest Shayari on Hindi, Punjabi and English
Bichadna yaad aata hai..
College ki seedhi per khade ho kar Kuch logo ke sath guftagu karna yaad aata hai,
Mujhe zindagi ke her palat’te panne ke sath,
Dosto se bichadna yaad aata hai…
Guzar raha hai waqt un parchaiyo’n ke sath,
Jinme the kuch yaar hatho me daale hath,
Na main hun ab na wo reh gaye hain wahi,
Per lamho me hain qaid wo mere kahin na kahin,
Kabhi khali se waqt me ho bhi jati hai baat,
Warna raftaar ki is duniya me koun rakhta hai ab yaad,
Jo mil jaye tumhe wo dour kahi to jaane na tum dena,
Na ayega wo lout ke is baat ko meri maan lena,
Aj bhi her mod her rasta mujhe unki yaad dilata hai,
Jin per hum sath the aur phir waqt tham sa jata hai,
Us mod per khadi hun jis rah tum mude the,
Yaar mere tu yaad kar, kabhi hum tum bhi jude the !!
Suno iss baar tumhi ana
Suno, iss baar tumhi aana
Sari furstein apne saath lana
Raah nihar rhi tumhara
Thoda sa wakt is baar jyada lana.
Suno, iss baar tumhi aana..
Abhi bhii wo mehndi tere naam ki
Haan, maine apne haatho me laga rkkhi hai mathe pr wo bindi tere naam ki
haan, maine saja rakkhi hai
Kajal laga kr apne ankhon me wo 8 saal ka intejar Haan, maine spse chipa rakkhi hai
Ye chudi, bindi ye payal Ye solah singar tere naam ki. Haan wo joda pehen maine khudko waise he saja rakkhi hu. Iss baar dilashe deker na reh jana Suno, iss baar tumhi aana Thoda so wakt jayda iss baar jyad lana,
Suno, iss baar tumhi aana. kuch kehte hai ki abb laut krr tum nhi aaoge, kuch tumhe uss tirange Ke andr lepete bata rhe ,
suno, aao aur abb akar insab ko galat therana
Thoda sa wakt is baar jayda lekar ana
Suno iss baar tumhi aana… !!
~प्रियांशी पाठक ✍🏻