Skip to content

Love and sad and death shayari hindi ||sabka ho jaunga

True love hindi shayari || jaate jaate khusiyaan de jaunga
tere naino ko jo gam diya hai unhe sath
le jaunga
karta hu wada fir kabhi nah rulaunga..
ho k sabse juda fir bhi sabka ho jaunga
jaate jaate khusiyaan de jaunga
tere naino ko jo gam diya hai unhe sath
le jaunga
karta hu wada fir kabhi nah rulaunga..
ho k sabse juda fir bhi sabka ho jaunga

Title: Love and sad and death shayari hindi ||sabka ho jaunga

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Udass dil🥺 || two line hindi shayari

❤💕 🍃Na Jaane Kyu Bahut Udaas Hai Dil Aaj
Lagta Hai Ki Kisika Pakka Irada Hai Hamein Bhool Jaane Ka🍃❤💕

❤💕 🍃न जाने क्यों बहुत उदास है दिल आज
लगता है कि किसीका पक्का इरादा है हमें भूल जाने का🍃❤💕

Title: Udass dil🥺 || two line hindi shayari


Yaad aate hai bachpan ke wo din  || maa

Yaad aate hai bachpan ke wo din

Jab maa daantkar khana khilati thi

Kabhi gussa hokar mein bhukhi hi so jati thi

Subah hote hi maa deti thi maa banakr khana

Usme bhi maa ka pyar pane ke liye mera nakhre dikhana

Jab kabhi udaas huyi toh maa ko gale lagaya

Yaad ati hai maa jb aaj khudko akela paya

Jab lagti thi chot mujhe aansu unki aankh mein hote the

Jab bimar huyi wo, hum chup chupkar rote the

Nahi hoga unhe kuch ye yakin dilaya

Lekin bhagwan ka likha koi badal na paya

“Mujhe bacha lo” ye aakhiri the shabd unke

Kaash mein de paati apni saansein unhe

Toh aaj chubhte nahi ye shabd unke

Wo kahti thi ‘beta strong ban’, me kahti thi strong hu mein

Par kaise batau mein strong tab thi jab hath mere sir pe the unke

Nahi rok pati aansu apne jab yaad aati hai unki

Unke bina kamjor hai beti ye unki

Title: Yaad aate hai bachpan ke wo din  || maa