Skip to content

mAut se nind churai ja sakti hai || hindi shayari

Dil ke andar aag lagaai jaa sakti hai
Dilwalo se jaan chhudai jaa sakti hai

Us ne Hans kar meri jaanib dekh liya hai
Yaani us se baat badhayi jaa sakti hai

Samandar paar to baatien ho jaati hai
Kya maazi Mai call milaayi jaa sakti hai

Nayi muhabbat mahangi padti hai to dekho
Koi puraani theek karaayi jaa sakti hai

Darwaaze par dastak de kar dekh liya hai
Darwaaze se teg lagaai jaa sakti hai

Zindagi se Khuwaab humaien kuch mil sakte hai
Jaise mout se neend churaai jaa sakti hai

Title: mAut se nind churai ja sakti hai || hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Tera intezaar humne kiya || two line hindi shayari

Tha jhootha vaada magar aitbaar humne Kiya
Tamam raat Tera intzaar humne kiya💔

था झूठा वादा मगर ऐतेबार हमने किया
तमाम रात तेरा इंतज़ार हमने किया💔

Title: Tera intezaar humne kiya || two line hindi shayari


Wajah meri maut ki || maut hindi shayari

woh jo be-wajah bani
use pata hai wajah meri maut ki

ਵੋਹ ਜੋ ਵਜਹ ਬੇ-ਵਜਹ ਬਣੀ
ਉਸੇ ਪਤਾ ਹੈ ਵਜਹ ਮੇਰੀ ਮੋਤ ਕੀ

Title: Wajah meri maut ki || maut hindi shayari