Skip to content

MERE HATHO KI LAKIRO MEH || God love hindi shayari

Mere Hatho ki Lakiro meh kya likha hai Tuneh ee mere Malik.
Mere Hatho ki Lakiro me kya likha hai tuneh ee mere Malik..
Hatho ko Dekti huu toh kuj nazar nahi ata hai ee mere Malik..
Par sach toh yeh hai k bohot kuch Diya hai tuneh muje ee Mere Malik
Isliye me Hath peh nahi, tere bharose peh Zinda huu ee Mere Malik..

Title: MERE HATHO KI LAKIRO MEH || God love hindi shayari

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Deedar hua || hindi shayari || sad in love

Deedar hua uss samay,
To Pyar hua uss samay, 
Tumhare saath jeene ki koshish jo ki, 
To Inqaar hua uss samay,
Aur
Tumhen paane ki koshish jo ki,
To Haar gaya uss samay💔

दीदार हुआ उस समय
तो प्यार हुआ उस समय
तुम्हारे साथ जीने की कोशिश जो की
तो इनकार हुआ उस समय
और
तुम्हे पाने की कोशिश जो की
तो हार गया उस समय💔

Title: Deedar hua || hindi shayari || sad in love


Apne Hi Naseeb Se Darr Lagta Hai || Hindi Naseeb Shayari

Na Chaho Itna Humein Chahaton Se Darr Lagta Hai,
Na Aao Kareeb Itna Ki Judai Se Darr Lagta Hai,
Tumhari Wafaon Pe To Hai Yakeen Humein,
Bas Apne Hi Naseeb Se Darr Lagta Hai!

Title: Apne Hi Naseeb Se Darr Lagta Hai || Hindi Naseeb Shayari