Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Tum ab Hamare nahi rahe || hindi shayari || sad in love || sad shayari || true shayari
Haan sach hai ye ||hindi shayari ||sad
Haan sach hai ye tume ab koi farak nahi padta
Sach hai ye k ab jeene k sahare nahi rahe..!!
Sach hai ye k tume ab pyar Na raha humse..
Shayad sach hai ye k tum ab Hamare nahi rahe..!!
हाँ सच्च है ये की तुम्हे अब कोई फ़र्क नहीं पड़ता..
सच्च है ये की अब जीने के सहारे नहीं रहे..!!
सच्च है ये तुम्हे अब प्यार न रहा हमसे
शायद सच्च है ये के तुम अब हमारे नहीं रहे..!!
Title: Tum ab Hamare nahi rahe || hindi shayari || sad in love || sad shayari || true shayari
Hamko naa mile wahi toh pyar hai || hindi love shayari
Tumse dur hone ka ghum itna hoga socha nahi tha,
Hum bhi itne kamzor hain pata nahi tha.
Kaise itni jaldi kamzori ban gaye,
Milne se pehle hi zindagi bhar ka ghum de gaye.
Pehli baar mehsoos ki hai aisi khoobsurti,
Apni awaz se hi badal di humari duniya,
Kya pata agar mulaqat hoti,
Toh hamari kismat hi badal jati.
Dekho kitne majboor hain hum,
Dosti hamari thi, Dard bhi hamare hain,
Duri hamari thi, saza bhi hamari hai.
Galti bhi hamari thi, faisle bhi hamare hain.
Asal sapna toh tumse milkar dekha,
Jab ankhein khuli toh pata chala,
Jo noorani hai, wahi toh khwab hai,
Jo humko nahi mila wahi toh pyar hai.
