Skip to content

moti hoon to || Shayari dard bhari sad

moti hoon to daaman mein piro lo mujhe apane,
aansoo hoon to palakon se gira kyoon nahin dete,
saaya hoon to saath na rakhane ki vazah kya,
patthar hoon to raaste se hata kyoon nahin dete..

मोती हूँ तो दामन में पिरो लो मुझे अपने,
आँसू हूँ तो पलकों से गिरा क्यूँ नहीं देते,
साया हूँ तो साथ ना रखने कि वज़ह क्या,
पत्थर हूँ तो रास्ते से हटा क्यूँ नहीं देते..

Title: moti hoon to || Shayari dard bhari sad

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Qubool kar khuda || two line Hindi shayari

Qubool kar khuda, zaroorat tujhe bhi hai,
Mein muthi bhar tere liye bhi duayein laya hun…

कबूल कर खुदा, जरूरत तुझे भी है,
मैं मुट्ठी भर तेरे लिए भी दुआएं लाया हूं…

Title: Qubool kar khuda || two line Hindi shayari


Agar Tu Mili Na Hoti

Agar Tu Mili Na Hoti !

Zindagi Kitni Haseen Hoti

Tu Saath Hoti !

Per Zindagi Aur Haseen Hoti

Agar Tu Mili Na Hoti !

Ye Roz Roz Khud Se Sawal Na Hote !

Ye Hari Bhari Zindagi Mein Kisi Ki Kami Khali Na Hoti 

Agar Tu Mili Na Hoti…!

Wahi Awara Man Chale Ladke Hote Hum !

Duniya ke Dour-Bhag se Thakk Ke Lout Ke

Chain Se Maa Ki Godd mein Sote Hum ❤️

Kisi Chij Ki parwaah Nahin Hoti 

Shaamon Mein Cigarette Jali Nahin Hoti 

Nashon Ki Latt Lagi Naa Hoti 

Uzaalo See Darta Nahin Dil Mera 

Bheed Ko Dekh Ke Bechaini Macchi Nahin Hoti !

Sab Sawal Ek Taraf 23 Ki Umar mein Ummar Se Phele Chehre Pe Baraf Uggi Nahin Hoti 

Hum Bhi Auron Ki Tarah Dil Se Haste 

Agar Tu Mili Nahi Hoti.

Title: Agar Tu Mili Na Hoti