Skip to content

Mujhe apne pass bulale

toh kya hua jo usse abb baat nahi hoti 

bina bat kiye mohobbat kam nahi hoti

tere bina kahe hi sun leta hu abb me 

mohobbat ko har baar izzhar ki jarurat nahi hoti

mana tere bina waqt thora mushkil lag raha hai 

aane wala har waqt bohot khaas lag raha hai 

tere sath waqt bitane ke thori mehnat kar raha hu 

awara pan chorr papa ki dukan me baith raha hu 

teri khawahishe puri karne ke liye paisa jod raha hu 

gharwale bol kar thak gaye tere bina kahe hi me tere liye sudhar Raha hu 

din raat tere sath shadi ke khawab bun raha hu 

kahi ye khawab tut na jaye ye soch soch kar mar raha hu 

tere gharwalo ko manane ki puri koshish kar raha hu 

koshish kar kar me thak gaya hu 

unko manate manate khudse dur hogaya hu 

bhag jana mujhe thik nahi lagra 

tujhe unse dur karneka man nahi karra 

ye khuda tuhi abb kuch jadu karde 

uski yadon me mar raha hu me 

tu pass aakar mujhe revive karde

apni koi Jadu ki chadi ghumade 

ya fir uske zehan se meri yadain mitade 

ye kahani ko manzil tak pohochade 

yafir mere nam ko uske zindagi se mitade 

ye khuda ek kam kar tu mujhe apne pass hi bulale

Title: Mujhe apne pass bulale

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


hamaare aage matlab log || True lines Hindi Punjabi

Hamari to mehfooz jehi baat hai
ham dilwaalo se dil milaate hai
hamaare aage matlab logo kiyaa aukaat hai

ਹਮਾਰੀ ਤੋਂ #ਮਹਿਫੂਜ਼ ਜਹੀ_____ #ਬਾਤ ਹੈ
ਹਮ #ਦਿਲਵਾਲੋਂ ਸੇ ਦਿਲ ਮਿਲਾਤੇ ਹੈ।।।
ਹਮਾਰੇ ਆਗੇ #ਮਤਲਬ ਲੋਗੋਂ ਕੀ ___ਕਿਆ #ਔਕਾਤ ਹੈ

#𝒢𝓊𝓇𝓊 𝑒𝓃𝒹𝓁𝑒𝓈𝓈 🦅

Title: hamaare aage matlab log || True lines Hindi Punjabi


Socha na tha || hindi sad shayari

Chodd kar chali jaogi ye socha na tha,
Mere Pyar ko iss kadar thukraogi socha na tha,
Aur pyar kiya to beshumaar tha tumse,
Magar tum iss kadar tadpaogi socha na tha.

Title: Socha na tha || hindi sad shayari