Skip to content

Odi kahi gal yaad || yaad shayari punjabi

Odi kahi har gal yaad h
Ode nal bite sare pal yaad h
Ovi chngi trah yaad h menu
Par ki ohnu Dhillon yaad h

Title: Odi kahi gal yaad || yaad shayari punjabi

Tags:

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Ankhon mein kho jaye || love Hindi shayari

Waise intezar humein bhi hai us pal ka 🙃
Jab khuda ka deedar ho jaye 😍
Hum usmein aur vo humari ankhon mein kho jaye ❤️

वैसे इंतज़ार हमें भी है उस पल का,🙃
जब खु़दा का दीदार हो जाये,😍
हम उसमे और वो हमारी आँखों में खो जाये ❤️

Title: Ankhon mein kho jaye || love Hindi shayari


Yaad aate hai bachpan ke wo din  || maa

Yaad aate hai bachpan ke wo din

Jab maa daantkar khana khilati thi

Kabhi gussa hokar mein bhukhi hi so jati thi

Subah hote hi maa deti thi maa banakr khana

Usme bhi maa ka pyar pane ke liye mera nakhre dikhana

Jab kabhi udaas huyi toh maa ko gale lagaya

Yaad ati hai maa jb aaj khudko akela paya

Jab lagti thi chot mujhe aansu unki aankh mein hote the

Jab bimar huyi wo, hum chup chupkar rote the

Nahi hoga unhe kuch ye yakin dilaya

Lekin bhagwan ka likha koi badal na paya

“Mujhe bacha lo” ye aakhiri the shabd unke

Kaash mein de paati apni saansein unhe

Toh aaj chubhte nahi ye shabd unke

Wo kahti thi ‘beta strong ban’, me kahti thi strong hu mein

Par kaise batau mein strong tab thi jab hath mere sir pe the unke

Nahi rok pati aansu apne jab yaad aati hai unki

Unke bina kamjor hai beti ye unki

Title: Yaad aate hai bachpan ke wo din  || maa