Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Kya yahi pyaar kehlata hai? || Love hindi shayari
Tere bhool jaane ki aadat k sadke,
Tujhe bhool jaane ko jee chahta hai..
Raah to koi or pakadta hu magar,
Hr zrraah teri or fir se kheech lata hai..
Kya yahi pyaar kehlata hai?
Khush hone k lamhe boht mile,
Pr noor chehre pe teri vajah se ata hai..
Krte nhi hai baat kisi se,
Kyu ki hr baat me tera zikkr aa jata hai..
Kya yahi pyaar kehlata hai?
Mubarak hr shaam hua krti thi kbhi,
Ab hr shaam me chaand dhal jata hai..
Roshni to aati hai hr roj subhah,
Magar andhera aankhon me basa rehta hai..
Kya yahi pyaar kehlata hai?
Title: Kya yahi pyaar kehlata hai? || Love hindi shayari
Usne mujhko khat likha tha || love shayari
उसने मुझको खत लिखा था ,
खत में अपना मत लिखा था,
मैंने पूछा प्यार करेगी,
उसने केवल धत लिखा था,
जब मिलने की बात करी तो,
उत्तर में बस छत लिखा था,
बातों में उलझाव बहुत था,
नयनों में सहमत लिखा था।
Usne Mujhko khat likha tha,
Khat mein apna mat likha tha,
Meine pucha pyaar karegi,
Usne kebal dhat likha tha,
Jab milne ki baat kari toh ,
Usne kebal Chhat likha tha,
Baaton mein uljhaab bahut tha,
Nayano mein sehmat likha tha…
