Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status
Dard, ek ehsas || hindi dard ki shayari
Dard do dilon ka raasta hota hai,
Kise rishte ka mohtaj nahi.
Dard do dildaron ki masoomiyat batata hai,
Kisi raees ki pehchan nahi.
Dard ko thodi hamdardi chahiye,
Dard ko choti tasalli chahiye,
Kisi kagaz ki mohar nahi.
Halki si thandi hawaein mangta hai,
Sath hone ka ehsas mangta hai,
Kisi khazane ki chamak nahi.
Title: Dard, ek ehsas || hindi dard ki shayari
Judaai ka zehar || sad hindi shayari || sad in love
Hisaab jo manga mohobbat ka, to unse diya na gya..
Pyar jo beshumar unke liye tha, vo unse liya na gya..
Humne to dil laga ke ki thi yaari, saboot to humse diya na gya..
Ab chupkar rote hain vo, judaai ka zehar bhi unse piya na gya..🙃
हिसाब जो मांगा मोहब्बत का, तो उनसे दिया ना गया..
प्यार जो बेशुमार उनके लिए था, वो उनसे लिया ना गया..
हमने तो दिल लगा के की थी यारी, सबूत तो हमसे दिया ना गया..
अब छुपकर रोते हैं वो, जुदाई का ज़हर भी उनसे पिया ना गया..🙃

