Skip to content

Rabb wargi maa || Maa shayari

Sukiya ta jo putt pondiya,
Aap oh pah Jan gilliya thama
Dhup haneri muhra khardka
Putt nu jo kardiya shama
Mandir, masjid, peer munra ja dargah mai jama
“Dil Bajwa” hath jord ka aahi kra duama
Amradi, beba, rahan jeondiya
Sada rab wargiya maama ,
sadiya rab wargiya maama

Title: Rabb wargi maa || Maa shayari

Tags:

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Kadar || Hindi shayari || two line shayari

Sochte hain seekh lain hm bhi berukhi karna sab se,
Sab ko mohobbat dete dete hmne apni kadar kho di hai…

सोचते है सीख ले हम भी बेरुखी करना सब से ,
सब को महोब्बत देते देते हमने अपनी क़दर खो दी है…

Title: Kadar || Hindi shayari || two line shayari


Ik taraf lahlahat chaman zindagi || Hindi latest shayari

Zindagi

Ik Taraf Lahlahata Chaman Zindagi
Ik Taraf Hai Khizaan Aur Ghutan Zindagi

Ik Taraf Himmat-O-Hausla ,Azm Bhi
Ik Taraf Uljhanein Aur Thakan Zindagi

Zindagi Aik Paheli Hai Aur Khud Hi Hal
Ab Kaho Kya Hai Aye AhleFan Zindagi

Neend Bhi Khawaab Bhi Aur Tabeer Bhi
Ik Tilasm-e-Purasraar-O-Fan Zindagi

Saltnat ,Takht-O-Taaj Aur Shahanshah Bhi
Tauq, Zanjeerein ,Daar-O-Rasan Zindagi

Sarhadon Par Nigehbaan Bhi , Ghaat Bhi
Maujzan Zindagi , Dilshikan Zindagi

Ye Hi Jashn-O-Charaaghaan Hai Aur Qahqahe
Maatam-O-Marsia , Nauhazan Zindagi

Ye Hi Shatranj Ke Mohre , Ye Hi Bisaat
Haar Aur Jeet Ka Air Chalan Zindagi

Rahguzar Bhi Hai Raahi Bhi Manzil Bhi Khud
Raahbar Bhi Zindagi Raahzan Zindagi

Khud Haqiqat Hai Aur Khud Hi Afsaanaa Bhi
Raaz Hai Az-zameen Taagagan Zindagi

Ye Hi Mahfil Bhi Hangama Sannata Bhi
Khud Hi Sanjeeda Khud Baankpan Zindagi

Zindagi Hai Ke Paani Ka Ik Bulbula
Phir Bhi Hai Kis Qadar Maujzan Zindagi

Hai Yahi Zindagi Aik Phoolon Ki Sej
Aur Kabhi Kaanton Ki Hai Chubhan Zindagi

Aashna Aur Shanasaa Bhi Anjaan Bhi
Baawatan Zindagi Bewatan Zindagi

.. Rekhta Pataulvi

Title: Ik taraf lahlahat chaman zindagi || Hindi latest shayari