Skip to content

Rakh himmat kar || Motivational

Rakh himmat kar koshish ye ghadi hai khud ko aajmaane ki bekhauf chal safar pe apne na kar fikar zamaane ki khuda bhi kehta hai tujhse nhi jarurat dagmagane ki ab baari manzil ki hai tere kadmo me jhuk jane ki ♠️

रख हिम्मत कर कोशिश ये घड़ी है खुद को आजमाने की बेखौफ चल सफर पे अपने न कर फिक्र ज़माने की खुदा भी कहता है तुझसे नही जरुरत डगमगाने की अब बारी मंज़िल की है तेरे कदमों में झुक जाने की♠️

Title: Rakh himmat kar || Motivational

Best Punjabi - Hindi Love Poems, Sad Poems, Shayari and English Status


Intezaar || hindi shayari || janamdin shayari

Shukriyaa khuda ka zameen pe utara aapko aaj ke din
Chalo ek aur dafa manaaye yeh haseen din aapke bin
Muntazir toh iss tarah rehta hai pagla jaise dil milenge iss din
Apna bhool jaunga par nahi bhool paunga aapka janamdin..

Jab tum deewar par apna sar rakhti ho
Toh bahot khoobsurat lagti ho..
Phir jab tum muskura deti ho
Toh usse bhi jyada khoobsurat lagti ho..

Kehdo ki jab main tumhe din mein
Pehli dafa dekhta hoon
Toh mugh par nazar nahi rakhti
Kehdo ki jab main tumhari ore
Kadam badhata hoon
Toh tumhari dhadkan nahi badhti
Kehdo ki jab main tumhare
Roobaroo baithta hoon
Toh mere rukh ko itmenaan se nahi dekhti
Kehdo ki mere jaane ke baad
Tumne ek baar bhi meri
Kami mehsoos nahi ki
Ek aakhri baar meri kasam khaao aur
Kehdo ki har hafte tum meri
Shayari ka intezaar nahi karti..

Title: Intezaar || hindi shayari || janamdin shayari


Nazarandaaz || sad but true || two line shayari

Ohdiyan galtiyan nu nazarandaaz karde karde
Mein ohdiya nazra cho hi nazarandaaz ho gyi 💔

ਉਹਦੀਆਂ ਗਲਤੀਆਂ ਨੂੰ ਨਜ਼ਰਅੰਦਾਜ਼ ਕਰਦੇ ਕਰਦੇ 
ਮੈਂ ਉਹਦੀਆਂ ਨਜ਼ਰਾਂ ਚੋਂ ਹੀ ਨਜ਼ਰਅੰਦਾਜ਼ ਹੋ ਗਈ 💔

Title: Nazarandaaz || sad but true || two line shayari