
kuchh pal k liye waqt ka kata thehar jayega
dil ka dariya aasuoo se bheh jayega
bas kuchh mitthi yaado ka sogaat reh jayega
jitne bhi taklif thi is sine me wo sab udh jayega

Dil ke andar aag lagaai jaa sakti hai
Dilwalo se jaan chhudai jaa sakti hai
Us ne Hans kar meri jaanib dekh liya hai
Yaani us se baat badhayi jaa sakti hai
Samandar paar to baatien ho jaati hai
Kya maazi Mai call milaayi jaa sakti hai
Nayi muhabbat mahangi padti hai to dekho
Koi puraani theek karaayi jaa sakti hai
Darwaaze par dastak de kar dekh liya hai
Darwaaze se teg lagaai jaa sakti hai
Zindagi se Khuwaab humaien kuch mil sakte hai
Jaise mout se neend churaai jaa sakti hai
Nafrat si hone lagi hai is safar se ab,
Jindagi kahi to pahucha de khatm hone se pehle….💔
Chodo ye baat ke mile jhakm kaha se mujhko,
Jindagi itna bata safar kitna baki hai….💔
Jo lamha sath hai use jee bhar ke jee lena,
Yeh kambhakt Jindagi bharose ke kaabil nahi hai…💔
Jindagi jiska bada naam suna hai humne
Ek kamjor si hichki ke siwa kuch bhi nahi….💔
Jindagi bhi ek tawayaf ki tarah hoti hai,
kabhi majboori me nachti hai kabhi mashoori me….💔